UNFIT BHOJA KO AKHIR KAAR KYUN BHEJA..???
20 april 2012 magrib k waqt Rawalpindi k aik gaon Hussainabaad main Bhoja Airline ka plane crash hoa. Is hadsai main amlai samait 136 logo ki jaan chali gae. In tamaan janoo kai nuksan ka zimaidar kon hai? in k lawahikeen ko jawabdai kon hai?
Mausam kharab honai k bawajood is parwaz ko urnai ki ijazat kyun di thi..? Is hadsai se pehle dopaihar 3 bajai aur sham 6 bajai mausam kharab honai ki italaat di gaen magar civil avialtion walo ne parwaz roknai kai liyai koi ikdam nahi kiye.
Hamarai yahan kharab mausam mai parwazo ki aamdo raft ko band kyun ni kiya jata ? kya insani jano ki koi ahmiyat nahi ya insani jaanai mahez ek mazak hain ???
ek esa hi hadsa air blue airline kai ek plane ko July 2010 mai paish aya tha jis mai 152 log jahan behaq hogaye thai .donu hadsai ki wajohat ek hain fark hai tou bas airline ka aur hadse ki jaga ka .itne kharab musam mai jahaz ki aamad o raft band kar kai itne barai hadsai sai bacha ja sakta tha.
Hamarai hukam sara ilzaam pilot pe laga deti hai aur tamaam zimaidari pilot pe dal daitai hain aur yeh nahi diakhtai keh agar pilot gair zimaidari dikhaega tou uski khud ki jaan khatrai main hogi aur ek pilot kabhi bhi itne logo ki jaan ka risk nahi lega aur itni asaani se apni omer bhar ki izat , apne omer bhar kai naam ko kharab nahi hone dega.
Yeh jahaz jo crash hoa Bhoja airline takreeban 30 saal purana tha jo kai pehlai Shaheen airways ki malkiyat main tha. Shaheen airways ki taraf se grounded kiyai janai kai baad bhoja Airline ne isai sastai damon kharid kar insani zindagio se khelna shuru kardia.
Puri Pakistaani qaum ki yeh iltija hai kai khudara is kharab musam mai parwazoo ki aamdo raft band kar diya Karen aur in tamam grounded jahazu ko band kar dain pesa tou baad mai bhi kamaya ja sakta hai magar insaani jaan ki koi kimaat nahi . pesa kamanai ka haal tou yeh hai k is mushkil waqt mai bhi mayatien lai janai kai liye lwahikeen se pese liye jarhen hain .
ALLAH is hadsai mai tamam jahan behak afrado ko maghfirat karai aur un kai ghar walo ko sabar atta karai .AMEEM
No comments:
Post a Comment