SUMMER VICATIONS AUR
RAMAZAAN
Ramazaan musalmano ke liye ek ahem tareen mahina hai aur is mahinai mai
sab musalmano ki koshish hoti hy ke ziada se ziada waqt ibadato mai guzarain aur ramazaan ke
tamam rozai rakhen .
Pichle saal Ramazaan august mai aya tha aur august mai bohat garmia thi
aur load shedding bhi hori thi hala ke hakumati dawai thy ke Ramazaan mai load
shedding nahi hogi magar phir bhi hoti rahi ab is haal mai rozai rakhna kesa
hojata hai yeh hum tamam Pakistani jantai hain .
Hamarai yahan summer vications june , july mai di jati hai hy hum ek musalman mulk hai agar hum june july mai vications
dene ke bajaye Ramazaan ke mahinai ko vications
ke liye ahmyet dai tou rozai rakhne mai students ko bohat asani hojayegi .
Is bar Ramazaan july ke akhir mai arha hai aur garmiyaan bohat hongi tou
kyun na is bar vications july aur august ke mahino mai di jay ta k hum
students ke liye rozai rakhna asaan hojaye aur load shedding bardasht karne ki
thori si himat bhi ajyegi kyun k school
, college , university se a kar hr ek ke liye load shedding bardasht karna bohat mushkil ho
jata hai.
Mai apne is blog ke zarye tamam talimi idarro se yeh request karongi aur
suggest karongi kai please is baar vications Ramazaan ko dhayan mai rakhtai
howe dain , kyun ke Vications students ki hi sahulato ke liye di jati hain.
idea tu acha hai per apni baat uper tuk tu puhnchao shayd uske liye tumhay ahtijaj ka sahara layna pareega :P
ReplyDeleteroze jitne sakht honge utna hi sawab bhi hai =)
ReplyDeletelekin waqai tm apna ye blog zardari tk post kra do :d
yaar baat tou thek ki hai bht problem hoti hai ....
ReplyDeleteNice idea but in order to work it out you should at least reach out to your teachers
ReplyDelete