Sunday, 8 April 2012

EDUCATIONAL CRISIS



Jaisa k hm janty hi hn k taleem hm sb k lia kitni eham he,jisy zaruri qarar dia gaya he.
hadees me he "ILM HASIL KARO MAA KI GOUD SE LEKAR LEHAD TAK"
Is kisam ki or b bht si ahadees hn,lakin hamary mulk me in ahadees k bar aks taleem ko
mushkil se mushkil tareen kia jaraha he. logon k lia taleem hasil karna jahad ban gaya he
uper se halat ne pareshan kar k rakh dia he.Maaen tb tk sakoon ka sans ni leti jb tk unke  
bachay ghar ni ajaty.taleem ko mehanga tareen kardia gaya he jo ghareebon ki pohanch se
 koson door hoti jarai he ,dusry mumalik me primary tk taleem muft he.
lakin hamary mulk me taleemi funds tk khatam kardia gai hn,jo talabat scholarship par bairon 
e mulk taleem hasil karny gai hue hn wo shadid mushkilat ka samna karai hn unke funds rok dia gai hn.

Inteha to ye b he k har sal S.S.C or H.S.C  k imtehanat k wakt pe hi halat kharab kar dia jaty hn,
taleem k sath khilwar ye b he k paper se pehly hi paper chand paison k lia out kardia jata he.
or mazay ki bat k har jaga avalible b hojata he.
colleges ka ye alam he k jb isateza hi paband nai hnge to talabat ki khak hnge.jaisy k koi 
pochny wala hi na ho. 
or universities k halat to ap or hm sb janty hi hn. 
agar yehi hal raha taleem ka to kia hoga is mulk ka or kia bany ga hm sb ka,,,
ZARA SOCHEA!!!!!`

2 comments:

  1. sochtey tu sub hain per koi kuch karta nai...bahar bhagnay ki purri rehti hai ....abhi mairi ak frnd khi k haalat ki wajha se khi chor k dusre city shift horahi hai

    ReplyDelete
  2. har jaga ka alam bht bura hai lagta hai qayamat qareb hai corruption bhari pari hai kaha se kch thk hoga :s

    ReplyDelete