Saturday 21 April 2012

PASHTAWAY SE BEHTR EHTIYATH HAI:
Meri ami mujhay humesha kehti hain ye bat k pashtaway se behtr ehtiyath hoti hai.ye jo word kash hota hai ye hamaray lyea bht tkleef ka baiss hota hai ku k jis b chez k lyea hum ye kash ka word istamaal krtay hain us chez ko hum apni zndagi main lana chahtay hain ya phir afsos k tor pr kehtay hain k ksh aisa na hota.
Jo wakt ik bar hath se nikl jata hai wok bi lout kr wapis nai ata.phir hum jitni b koshish krlen hum us tym ko dobara nai lasktay.insan apni zndagi main hazaron ghaltiyan krta hai or hr dafa usey ehsas jb hi hota haijb bht dair hochuki hoti hai.iski ik bht hi aam si missal wo nawjawan lrkay hain jo bike or gariyon ko chalatay huay ye bhool jatay hain k wo b ik insane hain unse b galti hoskti hai chahay wo kitnay hi mahir kun a hoon.isey sochay bagair wo speed ka b dehan nai rakhtay or sath sath kurtb b dekha rahay hotay hain k dekho humay bike riding or car driving pr itni maharth hasil haik hum jesay chahain usey control krsktay hain,or jb wo apna control khodetay hain ksi b wja se tu bht se apni jan se hath dho bethtay hain or aksr apne sath bethay logon or road pr mojod logon ki b or phr unko or unkay ghr walon ko zndagi bhr ka pashtawa rehta hai.
Hum din main tkrebn roz hi ik na ik accident k waqiyat suntay rehtay hain magr ik kan se suntay hain afsos krtay hain or dosray hi lmhay bhol b jatay hain.meri ye sb se iltija hai kis chez ko samjhen or apne ghr walon ko b samjhain ku k pashtaway se  behtr ehtiyath hai..

2 comments:

  1. sahi farmaya....

    گیا وقت پھر ھاتھ آتانہیں
    سدا عیش دوراں دکھاتا نہیں

    اللہ پاک ہم سب پرکرم کریں
    آمین

    ReplyDelete