Saturday, 21 April 2012

GUNNAH ASAN SHARIYAT MUSHKIL:
Humari modern society mai ye trend bngaya hai k humaray lyea gunnah krna tub ht asan hogaya hai mgr shariyat pr chalna bht mushkil or is mai sirif ik lrki ya lrkay ki ghalti nai hoti bulkay parents b brabr k shareek hotay hain or majority parents tu is bat ko b nai smj patay k wo apney bachon ko ik ghalat kam ki ijazat khud detay hain or khud hi usko religious values pura krne se rukhtay hain.
Wesay tu iski bht si examples hain magr abi kuch hi din pehlay menay notice jo chez ki wo ye thi k ik larka or lrki ghr main bagair inform kiyea bahir ghomtay phirtay rahain tu us main ghr walon ko koi ehtiraz nai hota ku k ye bat ghr walon ki knowledge mai hoti hi nai or agr ghalti se b ksi lrkay ya lrki ne ghr main btanay ki himat kr b li or shadi ki bat krna b chahi tug hr main tofan khara hojata hai .Amiyan apni starplus ki kahaniyan ya wesai dialogue shru krdeti hain or papa ye kehtay hain k tumhey hamari izat ka khayal nai aya,or agr lrka hotu ye k tumhari prhai,tumari gari,tumhara bangla in sub chezon k bagair tum kesay krsktay ho shadi even k engagement tk nai.
Arey bai akhir ku nai,nikah ya shadi mai apni pasand ka izhar krna hr lrkay or lrki ka sharai huq hai jiski khwahish agr wo zahir krdain tu wo besharam hain or dosri taraf koi ghalat kam krtay phiren tu wo bht acha beta ya beti hai ku k ma bap k samne tu acha image bana wa hai na pechay chahay bchay jo b krtay phiren.
Aj k dor ka hr insan itna materialistic ho chukka hai k usnay apnay lyea or apne sath rehnay walay logon k lyea gunnah or jhoot ko tu bht asan bnadia hai mgr shariyat or legal tarekay ko bht mushkil or ik na mumkin kam…

1 comment:

  1. 100% true... chup kar kaam krna ajkal manzoor hai lekin legal tareqe se nikah ka izhar ghalat...

    ReplyDelete