Tuesday 27 March 2012

SHOR IN THE COUNTRY

SHOR IN THE COUNTRY ….
Aja aja tu hy pyar mera ALLAH ALLAH inkar tera aa aa aja aa aja aa LIGHT  aja aaa L
Bijli(light) ayegi … bijli(light) aja … abto aja …. ALLAH please (bijli)light ajaye …
 yeh lafz hr Pakistani ki zuban per roz hotay hain aur jb light bht dair tak ni ati tou lafz aur shidat akhtiyar kar jatai hain jo mai yahan likh ni sakti jo k hr PAKISTANI samj chukka hoga.
Roz news pe  dekho tou mulk k ziadatar shero mai roz  bijli k buhraan pe ahtejaj hora hota hai aur ab to ahtejaj karne pe awam ko police k dandai b miltai hyn . Mujhe lagta hy  k hamari adhi zindagi ahtejajo mai guzar jayegi. Phele tou light  1 , 2 ghantai jati ti phr  2 , 2 ghantai 3 waqt jane lagi aur abto haal yeh hy k light kbi kbi ajati hy .

Hamara kia mustakbil(future) hoga jb k hamara haal(present) hi ni….Light na ho tou mulk ki economic tabah hojati hai jo k hamare mulk ki din ba din hoti jarhi hai .yahan student parh ni sakta sakun se na hi assignments bana sakta hy , karobar karne wla kam ni kar skta  light ho tou koi kam ho sake .u.p.s ,generator hr koi ni le sakta aur na hi  yeh lena iska hul hy.
 

Is ka hul kia hy ? dusre mulko  mai maslai hotai hain tou uska hul nikala jata hy magr hamarai yahan tou maslai ka hul tou door ki bat hy  bl k usko mazid budtr banadia jata hy .

Awam ahtejaj kr kr k marjaye yahan kisi ko koi farq ni parta. Bills  ziada atay hain jb k light ni hoti aye din bijli k rates mai izafa hota jata hy .thk hy rate barhadye , bills ziada ajaye mgr light tou do.

Is jadid daur mai b agar hul ni nikal sakte tou phr…………..  kia kahun?
Bht dipress hojati hun is light k kbi kbi hone se.Bill b bharo phr b light ni kia Karen humto bebas ho k rahe gaye hain.

2 comments: