,
Ek daur tha jb yeh kehna waqye mayinai rakhta tha k IS PARCHAM K SAYAI TALAI HUM EK HAIN lekin ab Agr mai yeh kahun k IS PARCHAM K SAYAI TALAI HUM 4 HAIN HUM 8 HAIN tou yeh galat na hoga q k hum ek (Pakistani) tou rahe nahi koi Punjabi hy tou koi Balochi , koi sarayiki hy tou koi pathan koi mahajir hy tou koi sindhi wagera wagera
Hum ek ( Pakistani )kahan rahe yahan sb ko apna apna sooba chaye sub ka mutalba hy k mulk mai aur soobai hoon. Talk shows mai bhi dekho tou Punjab , Sindh ,N.W.F.P . Balochistan ki hakumatien ek dusre pe ilzam tarashi karti nazar ati hy na k mil k ek Pakistani hone k natai maslo ka koi hul nikalti hy.
Hamarai mulk ko soobo ki zarurat ni bul k jo 4 soobai hain un ko hakumat ki tawaja ki zarorat hy aur tamam sayastdano ko ek hone ki zarorat hai agar yeh sab ek dusrai pe ilzam tarashi k bajaye ek hojayen tou mulk ko bohrano se asani se nikal saktai hain .
Hum Pakistani hain zara sochye k Pakistan ka haal din ba din kia hota jarha hy hum mai apas mai hi itifaq ni hum tarakki kia khak karenge agai barhne k liye itifaq hona ,ek hona bohat zarori hy.
Sirf sochne ki dair hy k HUM EK HAIN phr dekho yeh mulk kitna taraki karta hy….
so true
ReplyDeletesai baat hai nice shumaila
ReplyDeletegood work.....
Delete