Friday, 30 March 2012

CNG CRISIS


CNG compressed natural gaska mukhafaf he,jo k qudrati gas ko jadid technology k zariya compress karny se hasil ki jati he.isko dusry feul products k mutabadil k tor pe istemal kia jata he,dunya bhar me petrolium products ki qeematon me izafa or inke resources me musalsal kami ki waja se cng ka istemaal barh gaya he.cng technology america or europe ne mutaraf karwai he jis k asarat se ab puri duniya mustafid horai he.pakistan me cng ka istemal aj se kareeban 15 baras kabal shuru hua or ab mulk k tamam medani elakon me private or public transport ka istemal kia jaraha he.is k istemal se na sirf petrol or diesel par inhesar kam hua balky qeemati zarai mubadla b bachaya jaraha he cng ka shobae ministry,petrolium or natural resources k matehat chalta he jis ko oil and gas ki authority(OGRA) control or moniter karti he bad kismati se mehakma b pakistan k dusry mehakmo ki tarhan corruption or siasi asar o rasookh ki bedh char chuka he pury mulk me cng stationon ki bharmar ho chuki he.
Ek taraf to cng ki qeematen bht barh chuki hn or dusri taraf is ki shadid killat hochuki he jo k hafty me sirf 5 roz hi dastiyab hoti he jis ki waja se 2 roz petrol or diesel ka istemal kia jata he jis ka sara bojh awam k natawan kandhon pe par chuka he,jo k hakoomat ki na ehli or corruption ka mun bolta saboot he.

No comments:

Post a Comment