BOL RAHA HUN MAI KARACHI YAHAN …
Mai tha ek kushyio ka gulistaan
Log ghumtai thy dair raat yahan,
Bikhri rehti thi har pal yahan kushyian
Har koi tha baifikra yahan ,
Per na janai ab kia hogya hy yahan
Har insan mayus hogaya hy yahan,
Logo mai hy khauf ab yahan
Na raha koi bhi befikra yahan ,
Jalta hu mai aye din yahan
Kabhi zaat k naam pe,kabhi katal k naam pe yahan ,
Hoti hy baat kch bhi yahan
Hojati hain meri sarkien veeraan,
Mt bhulo rhetai hai yahan bhi insaan
Bol raha hoon mai KARACHI yahan,
Kardo karam mujh pe yahan
Matt ojaro mera gulistaan yahan,
Rehti hy fikar mai hr maa yahan
Laut aye kheryat se ghar mera beta jawan,
Na tou hy yeh rasta deen ka dunia ka…
Yeh tou hy rasta har ek k mufadoon ka yahan ,
Hogaya hy karobar tabah yahan
Mazdoor sota hy ab bhooka yahan,
Jalti hy yahan bike , buses , gariaan
Mehfooz tk nahi koi bhi insaan ab yahan,
Mt ojaro mera gulistaan yahan
Bol raha hun mai KARACHI yahan………..
goood....
ReplyDelete