Friday, 6 April 2012

ZINDAGI PHIR NA MILAY GI DOBHARA...........


ZINDAGI PHIR NA MILAY GI DOBHARA...............
Zindagi aik kimti tofha hai allah ki taraf say aur hamay is say bhut mohabat karni chaiyea aur is ka sahi istamal karna chaiye. Bhut say log esay bhi hain jo apni zindagi ka galat istamal kar rahay hain lakin mai un logo say pochti hun q akhir q apni zindagi barbad karna chatay hain wo log?

Aik jaga wo log hain jo apni zindagi ko pori planning kay sath guzarne ki koshish kartay hain aur aik wo log hain jo mobile snacking, loot mar mai lagay hain wo bhi hum mai say hi tou hain na unhay yeh nahi pata k wo aik na aik din maray jae gaye aur marte hain itni buri tarha phr yeh q nahi sochtay k un kay bad unki family ka kya hoga?

Esay bhi log hain jo apni sehat ka khaya rakhtay hain aur wakt p khana kahtay hain juices pitay hain aur aik wo log hain jin ko apni zindagi ki parwa nai hai aur wo yeh jantay hain lakin phr bhi sharab pitay hain aur us kay bad road p jaga jag latay hotay hain. Hamara mulk aik islami mulk hai lakin us k bawajod bhi hamaray han bars hain, disco hain. Akhir q hamari government isay band nahi kar wa dayti? Log sab jantay hain lakin us k bawajod bhi sirf buri taraf ja rahay hain fashion hamay mana nahi hai magar aik limit mai reh kar karna chaiye bazar chalay jao to larkia esay esay kapray pehni hui hoti hain k logo ko dekh k sharam ajae magar unhay koi fark nai parhta. Esa q hai kya wo bhul gai kay hamara islam hamay kya sekhata hai.

Sub jantay hain log lakin us kay ba wajod bhi buraiyan kiye ja rahay hain. Unhay pata hai kay yeh zindagi unki apni hai aur dobhara nahi milay gi unhay yeh bhi pata hai kay unhay upar ALLAH ko in sub chezon ka jawab dayna hoga aur apnay kiye ki saza bhi bhukatni hogi. Agar hamari awam yeh sub jan jae to hum apni zindagi ko aik behtar rastay p chala saktay hain . Bat sirf itni hai k agar hum chahay tou lakin kya karay log duniya ki ash-o-ishrat mai itna kho gaye hain k unhay ab kuch nahi dekhta.

“JEELO JEELO KHUL KAY LAKIN ALLAH KO YAD KARTAY HUAY AUR YEH BHI JAN LO KAY ZINDAGI PHR NA MILAY GI DOBHARA MERAY DOST”...........

3 comments: