UFF YEH BARHTI HOWI KEEMTAIN AUR YEH MEHNGAYI
Kabhi C N G mehngi ,kabhi petrol mehenga ,kabhi sabzi mehengi ,kabhi daal , atta , cheeni mahengi , kabhi gosht , murgi ki keemtoo mai izafa tou kabhi gas , bijli k bills mai izafa UFF YEH BARHTI HOWI KEEMTAI AUR YEH MEHENGAYI …
Aye din keemtai barhana kahan ka insaaf hy hum awam ko koi fyda hasil ni in izaffo se , oper se bahrti howi berozgariaan alag , jobs milti nahi yahan ,yeh bhi kafi ni hy toy aye din hartalai hum awam kahan jayen? Kun hy hmari faryad sunne wla ?
Ahtejaj karlo tab bhi yahan kuch nahi hota yahan .10 rupai barha k phir baad mai 2 rupai kam kardye k hum ne kami ki arai 8 rupai tou barh diye na.
Mai sochti hun yahan Pakistan mai hamara kia mustakbil(future) hy hum double job bhi karlen magar yahan barhti howi mehengayi ne hamai atta daal pura karne mai hi masroof rakhna hy .
Yaan her koi pareshaan hy roz k roti puri hojaye bas kisi trah aj .ALLAH hum pe apna karam kre warna tou mehengayi , barhti howi keemtain hamai deemak kit trah kha jayegi .
No comments:
Post a Comment