Sunday, 18 March 2012

A TIP BY WHICH YOUR LIFE BECOME HEAVEN:
Aksr menay logon ko boltay hua suna hai k jesa hum sochtay hain wesa hota nai or jo humnay kbi nai socha hota wesa hmesha hota hai.
Hum jis chez pr b yakeen krnay lgtay hain woi chez humari zndagi mai ana shru hota hai missal k tor pr agr hum ye sochtay hain k humaray sath humesha bura hi hota hai tu phr waqai bura hi honay lgta hai agay zndagi mai or ye koi suni sunai bat nai blkay ye wo experiences hain jo meri zndagi mai hochukay hain.
Humay nai maloom hota khumaray subconscious mind mai kia kia baten apna ghar krai hain.Jin baton ko hum apni zndagi se nikalna chahtay hain aksr hum unhi chezon ka ziada zkr b kray hotay hain jo k humaray subconscious mind mai bethrai hoti hain or phir wo chez kbi hum apni zndagi se nikal nai patay blkay wo humari zndagi ka hissa hi bni rehti hain.
Hr bat k 2 pehlu hotay hain positive b or negative b.Ab ye hum pr or humari soch pr depend krta hai k hum konsa pehlu choose krtay hain.Hr bat ka pehlay positive point dekhna chayea isey humari soch hi positive hojati hai or zindagi k hr moqay pr chahay sakhtse sakht mushkilat hi kun a ho ap usmai b khush rahengay, un mushkilat mai b choti choti khushyan dhoondh kr nikal lengay.
Mai aksr kch logon ko notice krti thi k wo mushkil se mushkil wakt mai b muskuratay rehtay hain mgr ye nai samj pati thi k kesay.Ab sari baton ko jankr ye andaza hua k wolog isi trhan khush rehpatay hain.
Humesha positive sochen, choti choti baton mai khushyan dhondh kr unko jiyen or hr hal mai ALLAH ka shukr ada kren…

3 comments: