MAIN AZAD HON MGR IK PINJRAY MAI:
Bachpn main mai apnay baron se suna krti thi k hum azad mulk mai rehtay hain, hum azad hain mai ye samjne lagi.
Jb mai school gait u meri mis muje prhati thi k humaray mulk ko14 august 1947 main azadi mli.uswakht b mai bari khushi khushi ye samjti thi k mai azad hon.
Phr jb mai college mai gait u meri teachers ye prhaya krti thi l QUAID-E-AZAM ne Pakistan ko bri jad-o-jehad se azad krwaya hai or unhi ki badolat hum aj azad mulk mai bethay hain.tu phr b muje lagne laga k han mai azad hon.
Phr ahista ahista chezain badlnay lagi or meri soch ki rahain or wasee hoti gai or menay sochna shru kia mukhtalif chezon k baray mai jo meray ird gird mojod thi tu kahen muje apni azadi parosi mulk ki rasmon k talay dapti hui dkhi tu kahen angraizon ki di hui kherat k majbor or uskay bharosay k talay kochalti hui dkhai di azadi.
Phr muje mri zindagi k har morh pr mehsos honay laga k na sirif meray ird gird mojod log bulkay mai khud b mohtaj or majbor hon hr us chez ki jog air mulkiyon bnai v hain ya jo sirif dosray mumalik se hi hum tk frham hoti hain hain ku k aj k dor ka hr frd tkrebn itna brand conscious hogaya hai k agr apne mulk ki koi ashya or dosray mulk ki woi ashya samne rakhi jai tu 90% afrad gair mulki ahya ka tayon krengay.
Kia humay se ksi ne b aj tk is system ko change krnay ki koshish b ki hai?hum azad tu hain bazahir mgr mohtaj b unhi logon k hain jinhay hum apna dushmn kehtay hain.unkay isharon pr chaltay hain jinka bycott krnay ki sirif batain krtay hain hum tu kiya hum azad hain?
Han hum azad hain mgr ik pinjray main….
I LIKED.....
ReplyDeletegd effrt anum
ReplyDeletegood anum
ReplyDeletegood keep it up.......
Delete